Friday, September 6, 2019

Chandrayaan 2


चले तो सही हम , हमें उसका नाज़  है ,
खुश है देश मेरा,मत सोचो के तुम पे नाराज़ है,

कभी हारे अगर हम, पर सोचो यह नयी जीत का आगाज़  है,
फ़क़्र था तुमपे हमको ,
फ़क़्र है तुमपे हमको ,
जहांन जीतने का यह भी इक अपना अंदाज़  है ,

चले तो सही हम , हमें उसका नाज़  है ,
खुश है देश मेरा,मत सोचो के तुम पे नाराज़ है,


टूटा दिल अपना तो सिर्फ इस बात से के आंखों  में तुम्हारी पानी  था ,
पर यह ज़ज़्बा क्या कम है,हौसला कितना सबका तूफानी था ,
गले लगाया तुम्हें,फिर कुछ करने को समझाया तुम्हें ,
मत सोचो इस पल क्या मिला हमें, पर यह पल तो बड़ा नूरानी था ,
पूरा देश बोल रहा है इक आवाज  में ,
यह ज़ज़्बा,यह होंशला ही मेरे देश की शान है ,,,,,

चले तो सही हम , हमें उसका नाज़  है ,
खुश है देश मेरा,मत सोचो के तुम पे नाराज़ है,....

Thank you Team ISRO, PM MODI Ji for your appreciation to team ISRO, and special thanks to our entire NATION    #isro#narendramodi 

Thursday, April 4, 2019

Dhundhala sa hai waqt is kadar..


Dhundhala sa hai waqt is kadar, tasveer dikhati nahi aaine mein khud ki bhi,


























Hawaon mein hai ghutan itni,saansen aati nahi,
Maayusi hai chaayi har taraf, na jaane kyun dil se  jaati nahi,
Shor hai har taraf itna, baat sunaayi deti nahin khud ki bhi,,,
Dhundhala sa hai waqt is kadar, tasveer dikhati nahi aaine mein khud ki bhi,


Baat karta hoon aksar apni tanhayee se,
Dar lagta hai mujhko meri parchayee se,
Jhooth itna hai bhikhra har taraf, ke khud pe bhi yakeen nahin,
Chalti hai saansen meri, par zinda hoon yeh yakeen nahin,
Yakeen karta hoon ke khatam hai safar jindagi ka ab,
Yakeen se toota ha naata is kadar, yakeen nahin khud pe bhi,,
Dhundhala sa hai waqt is kadar, tasveer dikhati nahi aaine mein khud ki bhi,

Har woh pal jo bitaye maine sang mere apnon ke,
Kitni pyaari thi woh baaten jo ki thi maine mere sapnon se,
Ab woh har pal lagta hai chota sa or purana sa unko,
Jis pal ke liye  , jin baaton ke liye lad gaye woh sab apnon or sapno se,
Meri duniya choti, har baat choti lagti hai unko is kadar,
Unko baat beete palon ki sach lagti nahi koi bhi khud ki bhi,
Dhundhla sa hai waqt is kadar, tasveer dikhati nahi aaine mein khud ki bhi.....

Friday, February 15, 2019

Bus itna yaad rahe ik saathi or bhi tha

















Bus itna yaad rahe ik saathi or bhi tha,

Nikla tha ghar se kal hi, maa se milkar,
Ik maa se milkar, doosari maa ka karz chukaane ko,
Apne liye jeete hai sabhi, yeh na raha sab ko bachaane ko,
Naa bhoolo shahadat kabhi iski tum,woh bhi na bhoola ke farz uska kuch or bhi tha,,,,
Bus itna yaad rahe ik saathi or bhi tha,

Kaarwan mein tha ,sochta tha kuch apnon ko,
Na paa saka, Socha tha jin sapnon ko,
Sapne kayi,,,

Maan ko apni milne ke sapne, apne nanhe haathon ko choone ke sapne, Watan ki mitti , apne Gaun or apne doston se milne ke sapne, ................ohhhhhhhhh

Sapnon ko bhi khoya or apnon ko bhi khoya,,
Par yaad rahe  un aankhon mein marte dam tak sapna ik or bhi tha,,,
Bus itna yaad rahe ik saathi or bhi tha,

Har taraf gusaa hai or mayoosi hai chaayi si,
Jo tha kal tak seema par, kahi dikhati nahi unki parchaayi bhi,
Dil mein jalaao aag aaj or bhi,
 or socho jo na raha  aaj saath mere, woh bhi beta is desh ka tha,,,,

Bus itna yaad rahe ik saathi or bhi tha,                            
                                              Jai Hind....Salute to Indian Army